Koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya,
Chaaragaron ne aur bhi dard dil ka badha diya..
Donon ko de ke suratein saath hi aaina diya,
Ishq bisorne laga husn ne muskura diya..
Zauq-e-nigaah ke siwa shauq-e-gunaah ke siwa,
Mujh ko buto'n se kya mila mujh ko khuda ne kya diya..
Thi na khizaa'n ki rok-thaam daaman-e-ikhtiyaar mein,
Hum ne bhari bahaar mein apna chaman luta diya..
Husn-e-nazar ki aabru san'at-e-barhaman se hai,
Jis ko sanam bana liya us ko khuda bana diya..
Daagh hai mujh pe ishq ka mera gunaah bhi to dekh,
Us ki nigaah bhi to dekh jis ne ye gul khila diya..
Ushq ki mamlikat mein hai shorish-e-aql-e-na-muraad,
Ubhra kahin jo ye fasaad dil ne wahin daba diya..
Naqsh-e-wafa to main hi tha ab mujhe dhundhte ho kya,
Harf-e-ghalat nazar pada tum ne mujhe mita diya..
Khubs-e-daroo'n dikha diya har dahan-e-ghaleez ne,
Kuchh na kaha 'Hafeez' ne hans diya muskura diya.!!
"Hafeez Jalandhari"
__________
Bisorne = crying, weeping,
Zauq-e-nigaah = elegance of sight,
Shauq-e-gunaah = desire to sin,
Husn-e-nazar = a welcoming glance or manner,
San'at-e-barhaman = work of Brahmin ,
Mamlikat = kingdom, realm,
Shorish-e-aql-e-na-muraad = tumult of unfortunate wisdom,
Khubs-e-daroo'n = inner meanness,
Dahan-e-ghaleez = dirty face,
No comments:
Post a Comment