Jo wo nazar basar-e-lutf aam ho jaaye,
Ajab nahin ke humara bhi kaam ho jaate..
Sharaab-e-shauq ki qeemat hai naqd-e-jaan-e-azeez,
Agar ye baais-e-kaif-e-dawaam ho jaaye..
Raheen-e-yaas rahein ahl-e-aarzu kab tak,
Kabhi to aap ka darbaar aam ho jaaye..
Jo aur kuchh ho teri deed ke siwa manzoor,
To mujh pe khwahish-e-jannat haraam ho jaaye..
Wo door hi se humein dekh lein yahi hai bahut,
Magar qubool humara salaam ho jaaye..
Agar wo husn-e-dil-aara kabhi ho jalwa farosh,
Farogh-e-noor mein gum zarf-e-baam ho jaaye..
Suna hai bar-sar-e-bakhshish hai aaj peer-e-mughaa'n,
Humein bhi kaash ata koi jaam ho jaaye..
Tere karam pe hai mauqoof kaamrani-e-shauq,
Ye na-tamaam ilaahi tamaam ho jaaye..
Sitam ke baad karam hai jafa ke baad ata,
Humein hai bas jo yahi iltizaam ho jaaye..
Ata ho soz wo ya rab junoon-e-'Hasrat' ko,
Ke jis se pukhta ye sauda-e-khaam ho jaaye.!!
"Hasrat Mohani"
__________
Basar-e-lutf = passage, dependence of entertainment,
Sharaab-e-shauq = wine of love,
Naqd-e-jaan-e-azeez = spirit of dear life,
Baais-e-kaif-e-dawaam = cause of unending pleasure,
Raheen-e-yaas = bonded in to sorrow,
Farogh-e-noor = luminosity of light,
Zarf-e-baam = the full terrace,
Bar-sar-e-bakhshish = with the reward,
Mauqoof = depend upon,
Kaamrani-e-shauq = success in love,
iltizaam = Being necessary or expedient, being assiduous, taking on one's self..
Sauda-e-khaam = raw material,
No comments:
Post a Comment