Kya ho gaya hai gesu-e-khamdaar ko tere,
Aazaad kar rahe hain giraftaar ko tere..
Ab tu hai muddaton se shab-o-roz ru-ba-ru,
Kitne hi din guzar gaye deedar ko tere..
Kal raat chobdaar samet aa ke le gaya,
Ek ghol tarah-daar-e-sar-e-daar ko tere..
Ab itni kund ho gayi dhaar ai yaqeen teri,
Ab rokta nahin hai koi waar ko tere..
Ab rishta-e-mareez-o-masiha hua hai khwaar,
Sab pesha-war samajhte hain beemar ko tere..
Baahar nikal ke aa dar-o-deewar-e-zaat se,
Le jaayegi hawa dar-o-deewar ko tere..
Ai rang us mein sood hai tera ziyaa'n nahin,
Khushbu uda ke le gai zangaar ko tere.!!
"Jaun Eliya"
__________
Chobdaar = "Verger"; an official in a church who acts as a caretaker and attendant,
Ghol = mobs,
Tarah-daar-e-sar-e-daar = beautiful at the gallows,
No comments:
Post a Comment