Wednesday, June 13, 2018

Kitne Aish Se Rahte Honge Kitne Itraate Honge

Kitne aish se rahte honge kitne itraate honge,
Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge..

Shaam hue khush-baash yahaan ke mere paas aa jaate hain,
Mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge..

Wo jo na aane waala hai na us se mujh ko matlab tha,
Aane waalon se kya matlab aate hain aate honge..

Us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hoga,
Yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge..

Yaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka,
Wo jo simat te honge un mein wo to mar jaate honge..

Mera saans ukhadte hi sab bain karenge royenge,
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge.!!

"Jaun Eliya"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...