Koi chaara nahin dua ke siwa,
Koi sunta nahin khuda ke siwa..
Mujh se kya ho saka wafa ke siwa,
Mujh ko milta bhi kya saza ke siwa..
Bar-sar-e-saahil muraad yahaan,
Koi ubhra hai nakhuda ke siwa..
Koi bhi to dikhao manzil par,
Jis ko dekha ho rahnuma ke siwa..
Dil sabhi kuchh zabaan par laaya,
Ek faqat arz-e-muddaa ke siwa..
Koi raazi na rah saka mujh se,
Mere Allah teri raza ke siwa..
But-kade se chale ho kaabe ko,
Kya milega tumhein khuda ke siwa..
Doston ke ye mukhlisana teer,
Kuchh nahin meri hi khata ke siwa..
Mahr o maah se buland ho kar bhi,
Nazar aaya na kuchh khala ke siwa..
Ai 'Hafeez' aah aah par aakhir,
Kya kahein dost wah wa ke siwa.!!
"Hafeez Jalandhari"
No comments:
Post a Comment