Kis se izhaar-e-muddaa kijiye,
Aap milte nahin hain kya kijiye..
Ho na paaya ye faisla ab tak,
Aap kijiye to kya kiya kijiye..
Aap the jis ke chaara-gar wo jawaan,
Sakht beemaar hai dua kijiye..
Ek hi fan to hum ne seekha hai,
Jis se miliye use khafa kijiye..
Hai taqaza meri tabiyat ka,
Har kisi ko charaagh-pa kijiye..
Hai to baare ye aalam-e-asbaab,
Be-sabab cheekhne laga kijiye..
Aaj hum kya gila karein us se,
Gila-e-tangi-e-qaba kijiye..
Nutq haiwaan par giraa'n hai abhi,
Guftugu kam se kam kiya kijiye..
Hazrat-e-zulf-e-ghaaliya-afshaa'n,
Naam apna saba saba kijiye..
Zindagi ka ajab muaamla hai,
Ek lamhe mein faisla kijiye..
Mujh ko aadat hai rooth jaane ki,
Aap mujh ko mana liya kijiye..
Milte rahiye isi tapaak ke saath,
Bewafaai ki intiha kijiye..
Kohkan ko hai khud-kushi khwahish,
Shah-baano se iltija kijiye..
Mujh se kahti thin wo sharaab aankhein,
Aap wo zahar mat piya kijiye..
Rang har rang mein hai daad-talab,
Khoon thooku'n to wah-wa kijiye.!!
"Jaun Eliya"
__________
Izhaar-e-muddaa = expression of desire,
Charaagh-pa = anger,
Baare = About, at last, In Connection With,
Aalam-e-asbaab = the world of cause and effect,
Gila-e-tangi-e-qaba = remonstrance of tightness of dresss,
Nutq = power of speech, articulation, reasoning,
Giraa'n = unpleasant/ dear, costly,
Hazrat-e-zulf-e-ghaaliya-afshaa'n = (1) Person with fragrant civet-sprinkling tresses
(2) Ghalia-a kind of perfume (said to have been thus called by Muawiyah, , as a thing precious; civet,
Kohkan = mountain breaker, (Farhad)
Shah-baano = queen, proper name,
Daad-talab = seeking praise,
No comments:
Post a Comment