Wednesday, June 13, 2018

Khwab Ki Haalaton Ke Saath Teri Hikayaton Mein Hain

Khwab ki haalato'n ke saath teri hikayaton mein hain,

Hum bhi dayaar-e-ahl-e-dil teri riwayaton mein hain..

Wo jo the rishta-ha-e-jaan toot sake bhala kahaan,

Jaan wo rishta-ha-e-jaan ab bhi shikayaton mein hain..

Ek ghubaar hai ke hai daayera-waar pur-fishaa'n,

Qaafila-ha-e-kahkashaan tang hain wahshaton mein hain..

Waqt ki darmiyaniyan kar gayin jaan-kani ko jaan,

Wo jo adawatein ke thin aaj mohabbaton mein hain..

Partaw-e-rang hai ke hai deed mein jaan-nasheen-e-rang,

Rang kahaan hain ronuma rang to nik'haton mein hain..

Hai ye wajood ki numood apni nafas nafas gurez,

Waqt ki saari bastiyaan apni hazeematon mein hain..

Gard ka saara khaanuma'n hai sar-e-dasht-e-be-amaa'n,

Shahar hain wo jo har tarah gard ki khidmaton mein hain..

Wo dil o jaan suratein jaise kabhi na thin kahin,

Hum unhin suraton ke hain hum unhin suraton mein hain..

Main na sununga maajra ma'arka-ha-e-shauq ka,

Khoon gaye hain rayegaa'n rang nadamaton mein hain.!!

"Jaun Eliya"
__________

Rishta-ha-e-jaan = relationships of life/continuity of breath,
Daayera-waar = arranged in circles,
Pur-fishaa'n = sparkling,
Qaafila-ha-e-kahkashaan = caravans of galaxy,
Tang = narrow, tight, poor, distressed,
Jaan-kani = pain felt near death,
Partaw-e-rang = reflection/splendour of colour,
Jaan-nasheen-e-rang = heir to color,
Ronuma = appear, happen,
Nik'haton = fragrances,
Numood = show, display, appearance, sight,
Nafas = soul/ spirit/ self/
Gurez = escape, evasion, avoid, run away,
Hazeematon = defeats,
Khaanuma'n = home,
Sar-e-dasht-e-be-amaa'n = in desert without refuge,
Maajra = state, incident, condition, happening,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...