Khwab ke rang dil-o-jaan mein sajaye bhi gaye,
Phir wahi rang ba-sad taur jalaye bhi gaye,
Unhin shahro'n ko shitaabi se lapeta bhi gaya,
Jo ajab shauq-e-faraakhi se bichhaye bhi gaye..
Bazm shokhi ka kisi ki kahein kya haal-e-jahaan,
Dil jalaye bhi gaye aur bujhaye bhi gaye..
Pusht mitti se lagi jis mein humari logo,
Usi dangal mein humein daaw sikhaye bhi gaye.
Yaad-e-ayyaam ke ek mahfil-e-jaan thi ke jahaan,
Haath kheenche bhi gaye aur milaye bhi gaye..
Hum ke jis shahar mein the sog-nasheen-e-ahwaal,
Roz us shahar mein hum dhoom machaye bhi gaye,
Yaad mat rakhiyo ye rudaad humari hargiz,
Hum the wo taj-mahal 'Jaun' jo dhhaye bhi gaye.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment