* Nazm *
__________
Khuda tumhaara nahin hai khuda humara hai..
Use zamren pe ye zulm kab gawara hai.!
Lahu piyoge kahaan tak humara dhanwaano,
Badhao apni dukaan seem-o-zar ke deewano,
Nishaan kahin na rahega tumhaara shaitaano,
Humein yaqeen hai ke insaan us ko pyaara hai,
Khuda tumhaara nahin hai khuda humara hai..
Use zameen pe ye zulm kab gawara hai.!
Naye shaoor ki hai raushni nigaahon mein,
Ek aag si bhi hai ab apni sard aahon mein,
Khilenge phool nazar ke sahar ki baanhon mein,
Dukhe dilon ko isi aas ka sahaara hai,
Khuda tumhaara nahin hai khuda humara hai..
Use zameen pe ye zulm kab gawara hai.!
Tilism-e-saaya-e-khauf-o-haraas todenge,
Qadam badhayenge zanjeer-e-yaas todenge,
Kabhi kisi ke na hum dil ki aas todenge,
Rahega yaad jo ahd-e-sitam guzara hai,
Use zameen pe ye zulm kab gawara hai.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment