Sunday, June 3, 2018

Dastoor

* Nazm *
__________

Deep jis ka mahallaat hi mein jale,
Chand logon ki khushiyon ko le kar chale,
Wo jo saaye mein har maslahat ke pale,

Aise dastoor ko subah-e-be-nur ko..

Main nahin maanta main nahin jaanta.!

Main bhi khaaif nahin takhta-e-daar se,
Main bhi mansoor hun kah do aghyaar se,
Kyun daraate ho zindaan ki deewar se,

Zulm ki baat ko jahl ki raat ko..

Main nahin maanta main nahin jaanta.!

Phool shaakhon pe khilne lage tum kaho,
Jaam rindo'n ko milne lage tum kaho,
Chaak seeno'n ke silne lage tum kaho,

Is khule jhooth ko zehn ki Loot ko. 

Main nahin maanta main nahin jaanta.!

Tum ne loota hai sadiyon humara sukoo'n,
Ab na hum par chalega tumhaara fusoo'n,
Chaaragar dardmandon ke bante ho kyun,

Tum nahin chaaragar koi maane magar..

Main nahin maanta main nahin jaanta.!!

"Habeeb Jalib"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...