Khu samajh mein nahin aati tere deewanon ki,
Daamanon ki na khabar hai na girebaanon ki..
Jalwa-e-saaghar-o-meena hai jo hum-rang-e-bahaar,
Raunaqein turfa taraqqi pe hain may-khaanon ki..
Har taraf be-khudi o be-khabri ki hai numood,
Qaabil-e-deed hai duniya tere hairaanon ki..
Sahl is se to yahi hai ke sambhaalein dil ko,
Minnatein kaun kare aap ke darbaanon ki..
Aankh waale teri surat pe mite jaate hain,
Shamm-e-mahfil ki taraf bheed hai parwaanon ki..
Ai jafakaar tere ahd se pahle to na thi,
Kasrat is darja mohabbat ke pashemaanon ki..
Raaz-e-ghum se humein aagaah kiya khoob kiya,
Kuchh nihayat hi nahin aap ke ahsaanon ki..
Dushman-e-ahl-e-murawwat hai wo begana-e-uns,
Shakl pariyon ki hai khu bhi nahin insaanon ki..
Humrah-e-ghair mubarak unhein gul-gasht-e-chaman,
Sair hum ko bhi mayassar hai bayabaanon ki..
Ek bakheda hai nazar mein sar-o-samaan-e-wajood,
Ab ye haalat hai tere sokhta-samaanon ki..
Faiz-e-saaqi ki ajab dhoom hai may-khaanon mein,
Har taraf may ki talab maang hai paimaanon ki..
Aashiqon hi ka jigar hai ke hain khursand-e-jafa,
Kaafiron ki hai ye himmat na musalmanon ki..
Yaad phir taaza hui haal se tere 'Hasrat',
Qais o farhaad ke guzre hue afsaanon ki.!!
"Hasrat Mohani"
__________
Khu = habbit, behaviour,
Turfa = strange, agreeable, wonderful, rare,
Numood = show, display, appearance, sight,
Nihayat = very much, limit, extreme,
Begana-e-uns = stranger to love,
Gul-gasht-e-chaman = promenade, walk in garden,
Sar-o-samaan-e-wajood = necessities and provisions of existence; life,
Sokhta-samaanon = burned wherewithal,
Khursand-e-jafa = contented with inconstancy,
No comments:
Post a Comment