Khoob-ruyon se yaariyan na gayin,
Dil ki be-ikhtiyaariyan na gayin..
Aql-e-sabr-aashna se kuchh na hua,
Shauq ki be-qaraariyan na gayin..
Din ki sahra-nawardiyan na chhutin,
Shab ki akhtar-shumaariyan na gayin..
Hosh yaan sadd-e-raah-e-ilm raha,
Aql ki harza-kaariyan na gayin..
The jo hum-rang-e-naaz un ke sitam,
Dil ki ummidwaariyan na gayin..
Husn jab tak raha nazzara-farosh,
Sabr ki sharmsaariyan na gayin..
Tarz-e-'momin' mein marhaba 'Hasrat',
Teri rangeen-nigaariyan na gayin.!!
"Hasrat Mohani"
__________
Khoob-ruyon = beautiful face,
Aql-e-sabr-aashna = wisdom to know patience,
Sahra-nawardiyan = desert travels,
Akhtar-shumaariyan = star counting,
Yaan = here,
Sadd-e-raah-e-ilm = an obstruction in the way of knowledge,
Harza-kaariyan = frivolous actions, non-sensical,
Hum-rang-e-naaz = same colour as the beloved,
Sharmsaariyan = regrets,
Tarz-e-momin = manner of a devout religious person,
Marhaba = hail, welcome, bravo; शाबाश,
Rangeen-nigaariyan = Colorful figures; paintings,
No comments:
Post a Comment