Hum ne kis din tere kooche mein guzara na kiya,
Tu ne ai shokh magar kaam humara na kiya..
Ek hi baar huin wajah-e-giraftaari-e-dil,
Iltifat un ki nigaahon ne dobara na kiya..
Mahfil-e-yaar ki rah jaayegi aadhi raunaq,
Naaz ko us ne agar anjuman-aara na kiya..
Ta'an-e-ahbaab sune sarzanish-e-khalq sahi,
Hum ne kya kya teri khaatir se gawara na kiya..
Jab diya tum ne raqeebon ko diya jaam-e-sharaab,
Bhool kar bhi meri jaanib ko ishaara na kiya..
Ru-ba-ru chashm-e-tasawwur ke wo har waqt rahe,
Na sahi aankh ne gar un ka nazara na kiya..
Gar yahi hai sitam-e-yaar to hum ne 'Hasrat',
Na kiya kuchh bhi jo duniya se kinara na kiya.!!
"Hasrat Mohani"
__________
Iltifaat = kindness/ attention,
Ta'an-e-ahbaab = taunts of friends,
Sarzanish-e-khalq = punishment of created beings,
No comments:
Post a Comment