Khoob hai shauq ka ye pahlu bhi,
Main bhi barbaad ho gaya tu bhi..
Husn-e-maghmum tamkanat mein teri.
Farq aaya na yak-sar-e-mu bhi..
Ye na socha tha zer-e-saya-e-zulf,
Ke bichhad jayegi ye khushbu bhi..
Husn kahta tha chhedne waale,
Chhedna hi to bas nahin chhu bhi..
Haye wo us ka mauj-khez badan,
Main to pyasa raha lab-e-ju bhi..
Yaad aate hain moajize apne,
Aur us ke badan ka jaadu bhi..
Yasmin us ki khaas mahram-e-raaz,
Aaad aaya karegi ab tu bhi..
Yaad se us ki hai mera parhez,
Ai saba ab na aaiyo tu bhi..
Hain yahi 'Jaun-Elia' jo kabhi,
Sakht maghroor bhi the bad-khu bhi.!!
"Jaun Eliya"
__________
Husn-e-maghmum = sad/somber beauty,
Tamkanat = dignity, gravity, majesty, honour,
Yak-sar-e-mu = one hair of head,
Mauj-khez = creating waves, ripples,
Mahram-e-raaz = privy to a secret, confidant,
Bad-khu = of bad habits, of evil disposition, evil-minded,
No comments:
Post a Comment