Kaun se shauq kis hawas ka nahin,
Dil meri jaan tere bas ka nahin..
Raah tum karwaan ki lo ke mujhe,
Shauq kuchh naghma-e-jaras ka nahin..
Haan mera wo muaamla hai ke ab,
Kaam yaraan-e-nukta-ras ka nahin..
Hum kahaan se chale hain aur kahaan,
Koi andaaza pesh-o-pas ka nahin..
Ho gayi us gale mein umr tamaam,
Paas shoale ko khaar-o-khas ka nahin..
Mujh ko khud se juda na hone do,
Baat ye hai main apne bas ka nahin..
Kya ladaai bhala ke hum mein se,
Koi bhi sainkdon baras ka nahin.!!
"Jaun Eliya"
__________
Yaraan-e-nukta-ras =
perceptive for minute detail,
Pesh-o-pas = vacillation,
Paas = regards, supervision, sustenance, up bringing,
Khaar-o-khas = rubbish,
No comments:
Post a Comment