Kabhi to mehrbaan ho kar bula lein,
Ye mahwash hum faqeeron ki dua lein..
Na jaane phir ye rut aaye na aaye,
jawaan phoolon ki kuchh khushbu chura lein..
Bahut roye zamane ke liye hum,
Zara apne liye aansu baha lein..
Hum un ko bhoolne waale nahin hain,
Samajhte hain ghum-e-dauraa'n ki chaalein,
Humari bhi sambhal jaayegi haalat,
Wo pahle apni zulfein to sambhaalein..
Nikalne ko hai wo mahtaab ghar se,
Sitaron se kaho nazrein jhuka lein..
Hum apne raaste par chal rahe hain,
Janaab-e-shaikh apna raasta lein..
Zamana to yunhi rootha rahega,
Chalo 'Jalib' unhein chal kar mana lein.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment