Kahin aah ban ke lab par tera naam aa na jaaye,
Tujhe bewafa kahun main wo maqaam aa na jaaye..
Zara zulf ko sambhaalo mera dil dhadak raha hai,
Koi aur taair-e-dil tah-e-daam aa na jaaye..
Jise sun ke toot jaaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko wo payaam aa na jaaye..
Wo jo manzilon pe la kar kisi hum-safar ko lootein,
Unhin rahzanon mein tera kahin naam aa na jaaye..
Isi fikr mein hain ghaltaa'n ye nizaam-e-zar ke bande,
Jo tamaam-e-zindagi hai wo nizaam aa na jaaye..
Ye maah o nujoom hans lein mere aansuon pe 'Jalib',
Mera mahtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment