Kab us ka wisaal chahiye tha,
Bas ek khyaal chahiye tha..
Kab dil ko jawaab se gharaz thi,
Honthon ko sawaal chahiye tha..
Shauq ek nafas tha aur wafa ko,
Pa-e-maah-o-saal chahiye tha..
Ek chehra-e-sada tha jo hum ko,
Be-misl-o-misaal chahiye tha..
Ek karb mein zaat-o-zindagi hain,
Mumkin ko muhaal chahiye tha..
Main kya hun bas ek malaal-e-maazi,
Is shakhs ko haal chahiye tha..
Hum tum jo bichhad gaye hain hum ko,
Kuchh din to malaal chahiye tha..
Wo jism jamaal tha saraapa,
Aur mujh ko jamaal chahiye tha..
Wo shokh rameeda mujh ko apni,
Baanhon mein nidhhaal chahiye tha..
Tha wo jo kamaal-e-shauq-e-waslat,
Khwahish ko zawaal chahiye tha..
Jo lamha-ba-lamha mil raha hai,
Wo saal-ba-saal chahiye tha.!!
"Jaun Eliya"
__________
Rameeda = escaped/ running away,
No comments:
Post a Comment