Kaam mujh se koi hua hi nahin,
Baat ye hai ke main to tha hi nahin..
Mujh se bichhdi jo mauj-e-nik'hat-e-yaar,
Phir main us shahar mein raha hi nahin..
Kis tarah tark-e-muddaa kijiye,
Jab koi apna muddaa hi nahin..
Kaun hun main jo rayegaa'n hi gaya,
Kaun tha jo kabhi mila hi nahin..
Hun ajab aish-e-ghum ki haalat mein,
Ab kisi se koi gila hi nahin..
Baat hai raaste pe jaane ki,
Aur jaane ka raasta hi nahin..
Hai khuda hi pe munhasir har baat,
Aur aafat ye hai khuda hi nahin..
Dil ki duniya kuchh aur hi hoti,
Kya kahein apna bas chala hi nahin..
Ab to mushkil hai zindagi dil ki,
Yaani ab koi maajra hi nahin..
Har taraf ek hashr barpa hai,
'Jaun' khud se nikal ke ja hi nahin..
Mauj aati thi theharne ki jahaan,
Ab wahaan khema-e-saba hi nahin.!!
"Jaun Eliya"
__________
Tark-e-muddaa = renouncing desire,
Munhasir = surrounded, besieged, dependent on, resting on,
Ja = place, space, occasion,
Khema-e-saba meaning?
ReplyDeletepavilion of zephyr or morning breeze
ReplyDeleteصبح کی ھوا کا خیمہ
ReplyDelete