Kaam ki baat main ne ki hi nahin,
Ye mera taur-e-zindagi hi nahin..
Si ummid ai ummid-e-nau-maidaan,
Mujh se mayyat teri uthi hi nahin..
Main jo tha us gali ka mast-e-khiraam,
Us gali mein meri chali hi nahin..
Ye suna hai ke mere kooch ke baad,
Us ki khushbu kahin basi hi nahin..
Thi jo ek faakhta udaas udaas,
Subah wo shaakh se udi hi nahin..
Mujh mein ab mera ji nahin lagta,
Aur sitam ye ki mera ji hi nahin..
Wo jo rahti thi dil-mohalle mein,
Phir wo ladki mujhe mili hi nahin..
Jaaiye aur khaak udaaiye aap,
Ab wo ghar kya ke wo gali hi nahin..
Haye wo shauq jo nahin tha kabhi,
Haye wo zindagi jo thi hi nahin.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment