Wednesday, June 13, 2018

Juz Gumaan Aur Tha Hi Kya Mera

Juz gumaan aur tha hi kya mera,
Faqat ek mera naam tha mera..

Nik'hat-e-pairahan se us gul ki,
Silsila be-saba raha mera..

Mujh ko khwahish hi dhundhne ki na thi,
Mujh mein khoya raha khuda mera..

Thook de khoon jaan le wo agar,
Aalam-e-tark-e-muddaa mera..

Jab tujhe meri chaah thi jaanaa,
Bas wahi waqt tha kada mera..

Koi mujh tak pahunch nahin paata,
Itna aasaan hai pata mera..

Aa chuka pesh wo murawwat se,
Ab chalun kaam ho chuka mera..

Aaj main khud se ho gaya mayoos,
Aaj ek yaar mar gaya mera.!!

"Jaun Eliya"
__________

Juz = besides, except, other than,
Nik'hat-e-pairahan = fragrance of apparel, dress,
Be-saba = without morning breeze; zephyr,
Aalam-e-tark-e-muddaa = state/condition of renouncing desire,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...