Jao qaraar-e-be-dilaa'n shaam-ba-khair shab-ba-khair,
Sahn hua dhuan dhuan sham-ba-khair shab-ba-khair..
Shaam-e-wisaal hai qareeb subah-e-kamaal hai qareeb,
Phir na rahenge sargiraa'n shaam-ba-khair shab-ba-khair..
Wajd karegi zindagi jism-ba-jism jaan-ba-jaan,
Jism-ba-jism jaan-ba-jaan shaam-ba-khair shab-ba-khair..
Ai mere shauq ki umang mere shabaab ki tarang,
Tujh pe shafaq ka saayebaa'n shaam-ba-khair shab-ba-khair..
Tu meri shaairi mein hai rang-e-taraaz o gul-fishaa'n,
Teri bahaar be-khizaa'n shaam-ba-khair shab-ba-khair..
Tera khyaal khwab khwab khalwat-e-jaan ki aab-o-taab,
Jism-e-jamil-e-naujawan shaam-ba-khair shab-ba-khair..
Hai mera naam-e-arjumand tera hisaar-e-sar-buland,
Baano-e-shahr-e-jism-o-jaan shaam-ba-khair shab-ba-khair..
Deed se jaan-e-deed tak dil se rukh-e-ummid tak,
Koi nahin hai darmiyaan shaam-ba-khair shab-ba-khair..
Ho gayi der jao tum mujh ko gale lagao tum,
Tu meri jaan hai meri jaan shaam-ba-khair shab-ba-khair..
Shaam-ba-khair shab-ba-khair mauj-e-shamim-e-pairahan,
Teri mahak rahegi yaan shaam-ba-khair shab-ba-khair.!!
"Jaun Eliya"
__________
Qaraar-e-be-dilaa'n = contentment of heartless,
Sargiraa'n = arrogant, proud,
Wajd = abandon, ecstasy, excessive love, rapture,
Saayebaa'n = canopy,
Rang-e-taraaz = colour-maker, palette-creator,
Gul-fishaa'n = sprinkling flowers,
Khalwat-e-jaan = solitude of self; life,
Jism-e-jamil-e-naujawan = beautiful Young figure / body,
Naam-e-arjumand = name Arjumand-excellent,rare,
Baano-e-shahr-e-jism-o-jaan = Lady of city of body and life,
Jaan-e-deed = centre of attraction, cynosure,
Rukh-e-ummid = face of hope,
Mauj-e-shamim-e-pairahan = wave of apparel's fragrance,
No comments:
Post a Comment