Tuesday, June 12, 2018

Jaane Kahaan Gaya Hai Wo Wo Jo Abhi Yahaan Tha

Jaane kahaan gaya hai wo wo jo abhi yahaan tha,
Wo jo abhi yahaan tha wo kaun tha kahaan tha..

Ta-lamha-e-guzishta ye jism aur saaye,
Zinda the rayegaa'n mein jo kuchh tha rayegaa'n tha..

Ab jis ki deed ka hai sauda humare sar mein,
Wo apni hi nazar mein apna hi ek samaa'n tha..

Kya kya na khoon thooka main us gali mein yaaro,
Sach jaanna wahaan to jo fan tha rayegaa'n tha..

Ye waar kar gaya hai pahlu se kaun mujh par,
Tha main hi daayen baayen aur main hi darmiyaan tha..

Us shahar ki hifazat karni thi hum ko jis mein,
Aandhi ki thin faseelein aur gard ka makaan tha..

Thi ek ajab faza si imkaan-e-khaal-o-khad ki,
Tha ek ajab musawwir aur wo mera gumaan tha..

Umrein guzar gayi thin hum ko yaqeen se bichhde,
Aur lamha ek gumaan ka sadiyon mein be-amaa'n tha..

Jab doobta chala main tareekiyon ki tah mein,
Tah mein tha ek dareecha aur us mein aasman tha.!!

"Jaun Eliya"
__________

Rayegaa'n = useless, fruitless, in vain,
Faseelein = wall of enclosure around a castle/ fort,
Imkaan-e-khaal-o-khad = possibility of dimple,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...