Thursday, June 7, 2018

Jahaan Qatre Ko Tarsaya Gaya Hun

Jahaan qatre ko tarsaya gaya hun,
Wahin dooba hua paaya gaya hun..

Ba-haal-e-gumraahi paaya gaya hun,
Haram se dair mein laaya gaya hun..

Bala kaafi na thi ek zindagi ki,
Dobara yaad farmaya gaya hun..

Ba-rang-e-laala-e-veerana bekaar,
Khilaya aur murjhaya gaya hun..

Agarche abr-e-gauhar-baar hun main,
Magar aankhon se barsaya gaya hun..

Supurd-e-khaak hi karna tha mujh ko,
To phir kaahe ko nahlaya gaya hun..

Farishte ko na main shaitaan samjha,
Nateeja ye ke bahkaya gaya hun..

Koi san'at nahin mujh mein to phir kyun, 
Numaaish-gaah mein laaya gaya hun..

Ba-qaul-e-barhaman qahr-e-khuda hun,
Buto'n ke husn par dhhaaya gaya hun..

Mujhe to is khabar ne kho diya hai,
Suna hai main kahin paaya gaya hun.. 

'Hafeez' ahl-e-zabaan kab maante the,
Bade zoro'n se manwaya gaya hun.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

San'at = art, trade, skill, industry,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...