Thursday, June 7, 2018

Ishq Ne Husn Ki Be-daad Pe Rona Chaha

Ishq ne husn ki be-daad pe rona chaha,
Tukhm-e-ahsaas-e-wafa sang mein bona chaha..

Aane waale kisi tufaan ka rona ro kar,
Nakhuda ne mujhe saahil pe dubona chaha..

Sang-dil kyun na kahein but-kade waale mujh ko,
Main ne patthar ka parastaar na hona chaha..

Hazrat-e-shaikh na samjhe mere dil ki qeemat,
Le ke tasbeeh ke rishte mein pirona chaha..

Koi mazkoor na tha ghair ka lekin tum ne, 
Baaton baaton mein ye nashtar bhi chubhona chaha..

Deeda-e-tar se bhi sarzad hua ek jurm-e-azeem,
Hashr mein naama-e-aamaal ko dhona chaha..

Marte marte bhi tawaqqo rahi dildaari ki,
Rakh ke sar zaanu-e-taqdeer pe sona chaha..

Haye kis dard se ki zabt ki talqeen mujhe,
Hans pade dost jo main ne kabhi rona chaha..

Jins-e-shohrat bahut arzaa'n thi magar main ne 'Hafeez',
Daulat-e-dard ko bekaar na khona chaha.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Be-daad = oppression, violence, injustice,
Tukhm-e-ahsaas-e-wafa = seed of feeling of fulfilment,
Mazkoor = mentioned, recorded, related, mention,
Sarzad = be commited,
Tawaqqo = expectation, hope,
Arzaa'n = of lesser value, cheap,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...