Jalwa-e-husn ko mahroom-e-tamashaai kar,
Be-niyazi sifat-e-laala-e-sahraai kar,
Haan bade shauq se shamsheer ke aijaaz dikha,
Haan bade shauq se daawa-e-masihaai kar..
Main to majboor hun aadat se kahe jaaunga,
Tu koi baat na sun aur na paziraai kar..
Apne beemaar ki ye aakhiri ummid bhi dekh,
Malak-ul-maut se kahta hai masihaai kar..
Mujh ko le ja ke dar-e-yaar pe qaasid ne kaha,
Khaama-farsaai na kar naasiya-farsaai kar..
Hum teri surat-e-inkaar ko pahchaante hain,
Wo tabassum tu shareek-e-lab-e-goyaai kar.!!
"Hafeez Jalandhari"
No comments:
Post a Comment