Ishq ne aql ko deewana bana rakkha hai,
Zulf-e-anjaam ki uljhan mein phansa rakkha hai..
Uth ke baalin se mere dafn ki tadbeer karo,
Nabz kya dekhte ho nabz mein kya rakkha hai..
Meri qismat ke nawishte ko mita de koi,
Mujh ko qismat ke nawishte ne mita rakkha hai..
Aap betaab-e-numaaish na karein jalwon ko,
Hum ne deedar qayamat pe utha rakkha hai..
Wo na aaye na sahi maut to aayegi 'Hafeez',
Sabr kar sabr tera kaam hua rakkha hai.!!
"Hafeez Jalandhari"
No comments:
Post a Comment