Wednesday, June 6, 2018

Hairaan Na Ho Dekh Main Kya Dekh Raha Hun

Hairaan na ho dekh main kya dekh raha hun,
Bande teri surat mein khuda dekh raha hun..

Wo apni jafaon ka asar dekh rahe hain,
Main maani-e-tasleem-o-raza dekh raha hun..

Duzdeeda nigaahon se kidhar dekh rahe ho,
Kya baat hai, ye aaj main kya dekh raha hun..

Hai husn yahi shay to gumaan aur na kijiye,
Sauda nahin matloob zara dekh raha hun..

Kis tarah na qaayel hun dua-e-sahri ka,
Us lab pe tabassum ki ziya dekh raha hun..

Kyun arz-e-watan tang hai ye baat hi kya hai,
Ab to faqat ek qabr ki ja dekh raha hun..

Mar jaane ki dhamki hui tamheed-e-tamasha,
Main ne kaha dekh us ne kaha dekh raha hun.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Duzdeeda = Stolen,
Matloob = desired, longed for, demanded, required,
Arz-e-watan = land of country,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...