Humein waqf-e-ghum sar-ba-sar dekh lete,
Wo tum kuchh na karte magar dekh lete..
Na karte kabhi khwahish-e-sair-e-jannat,
Jo waaiz tera rahguzar dekh lete..
Rasaai kahaan bazm-e-dushman mein apni,
Ke hum bhi unhein ek nazar dekh lete..
Tamanna ko phir kuchh shikayat na rahti,
Jo tum bhool kar bhi idhar dekh lete..
Na rahti khabar din o duniya ki 'Hasrat',
Jo sote unhein be-khabar dekh lete.!!
"Hasrat Mohani"
__________
Waqf-e-ghum = engrossed in pain,
Sar-ba-sar = entirely/ completely,
Waaiz = preacher,
Rasaai = access, reach, approach, skill,
No comments:
Post a Comment