Sunday, June 24, 2018

Har Haal Mein Raha Jo Tera Aasra Mujhe

Har haal mein raha jo tera aasra mujhe, 
Mayoos kar saka na hujoom-e-bala mujhe..

Har naghme ne unhin ki talab ka diya payaam,
Har saaz ne unhin ki sunaai sada mujhe..

Har baat mein unhin ki khushi ka raha khyaal,
Har kaam se gharaz hai unhin ki raza mujhe..

Rahta hun gharq un ke tasawwur mein roz o shab,
Masti ka pad gaya hai kuchh aisa maza mujhe..

Rakhiye na mujh pe tark-e-mohabbat ki tohmatein,
Jis ka khyaal tak bhi nahin hai rawa mujhe..

Kaafi hai un ke paa-e-hina-basta ka khyaal,
Haath aai khoob soz-e-jigar ki dawa mujhe..

Kya kahte ho ke aur laga lo kisi se dil,
Tum sa nazar bhi aaye koi dusra mujhe..

Begana-e-adab kiye deti hai kya karun,
Us mahw-e-naaz ki nigah-e-aashna mujhe..

Us be-nishaan ke milne ki 'Hasrat' hui ummid,
Aab-e-baqa se badh ke hai zahr-e-fana mujhe.!!

"Hasrat Mohani"
__________

Paa-e-hina-basta = henna painted feet,
Soz-e-jigar = burning of heart,
Mahw-e-naaz = lost in coquetry,
Aab-e-baqa = water that bestows immortality, elixir, nectar,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...