Dil ko khyal-e-yaar ne makhmoor kar diya,
Saaghar ko rang-e-baada ne pur-noor kar diya..
Manoos ho chala tha tasalli se haal-e-dil,
Phir tu ne yaad aa ke ba-dastoor kar diya..
Gustakh-dastiyon ka na tha mujh mein hausla,
Lekin hujoom-e-shauq ne majboor kar diya..
Kuchh aisi ho gayi hai tere ghum mein mubtila,
Goya kisi ne jaan ko mas'hoor kar diya..
Betaabiyon se chhup na saka maajra-e-dil,
Aakhir huzoor-e-yaar bhi mazkoor kar diya..
Ahl-e-nazar ko bhi nazar aaya na ru-e-yaar,
Yaan tak hijaab-e-noor ne mastoor kar diya..
'Hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqi buland,
Tujh ko to muft logon ne mashhoor kar diya.!!
"Hasrat Mohani"
__________
Makhmoor = intoxicated, inebriated, drunk,
Rang-e-baada = colour of wine,
Gustakh-dastiyon = unrestrained hands,
Mas'hoor = enchanted/ fascinated,
Mazkoor = mentioned, recorded, related, mention,
Mastoor = written, aforesaid, expressed,
covered, veiled, hidden,
No comments:
Post a Comment