Hum tera hijr manane ke liye nikle hain,
Shahar mein aag lagane ke liye nikle hain..
Shahar koocho'n mein karo hashr bapa aaj ke hum,
Us ke waado'n ko bhulane ke liye nikle hain..
Hum se jo rooth gaya hai wo bahut hai masoom,
Hum to auro'n ko manane ke liye nikle hain..
Shahar mein shor hai wo yoon ke gumaan ke safri,
Apne hi aap mein aane ke liye nikle hain..
Wo jo the shahr-e-tahayyur tere pur-fan me'amaar,
Wahi pur-fan tujhe dhhaane ke liye nikle hain..
Rahguzar mein teri qaaleen bichhane waale,
Khoon ka farsh bichhane ke liye nikle hain..
Humein karna hai khudawand ki imdaad so hum,
Dair-o-kaaba ko ladaane ke liye nikle hain..
Sar-e-shab ek nayi tamseel bapa honi hai,
Aur hum parda uthane ke liye nikle hain..
Humein sairaab nayi nasl ko karna hai so hum,
Khoon mein apne nahane ke liye nikle hain..
Hum kahin ke bhi nahin par ye hai rudaad apni,
Hum kahin se bhi na jaane ke liye nikle hain.!!
"Jaun Eliya"
__________
Safri = related to travel,
Shahr-e-tahayyur = city of wonder,
Pur-fan = arty,
Me'amaar = mason, architect, builder,
Khudawand = master, lord, possessor, God,
Tamseel = similitude, allegory, example,
No comments:
Post a Comment