Tuesday, June 12, 2018

Hum Rahe Par Nahin Rahe Aabaad

Hum rahe par nahin rahe aabaad,
Yaad ke ghar nahin rahe aabaad..

Kitni aankhein huyin halaak-e-nazar,
Kitne manzar nahin rahe aabaad..

Hum ke ai dil-sukhan the sar-ta-pa,
Hum labo'n par nahin rahe aabaad..

Shahr-e-dil mein ajab mohalle the,
Un mein aksar nahin rahe aabaad..

Jaane kya waaqia hua kyun log,
Apne andar nahin rahe aabaad.!!

"Jaun Eliya"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...