Tuesday, June 12, 2018

Hum To Jaise Wahaan Ke The Hi Nahin

Hum to jaise wahaan ke the hi nahin..
Be-amaa'n the amaa'n ke the hi nahin.!

Hum ke hain teri dastaan yaksar..
Hum teri dastaan ke the hi nahin.!

Un ko aandhi mein hi bikharna tha..
Baal o par aashiyaan ke the hi nahin.!

Ab humara makaan kis ka hai..
Hum to apne makaan ke the hi nahin.!

Ho teri khaak-e-aastaa'n pe salaam,
Hum tere aastaa'n ke the hi nahin.!

Hum ne ranjish mein ye nahin socha..
Kuchh sukhan to zabaan ke the hi nahin.! 

Dil ne daala tha darmiyaan jin ko..
Log wo darmiyaan ke the hi nahin.!

Us gali ne ye sun ke sabr kiya..
Jaane waale yahaan ke the hi nahin.!!

"Jaun Eliya"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...