Tuesday, June 12, 2018

Hum Ji Rahe Hain Koi Bahana Kiye Baghair

Hum ji rahe hain koi bahana kiye baghair,
Us ke baghair us ki tamanna kiye baghair..

Ambaar us ka parda-e-hurmat bana miyaan,
Deewar tak nahin giri parda kiye baghair..

Yaraa'n wo jo hai mera masiha-e-jaan-o-dil,
Be-had azeez hai mujhe achchha kiye baghair..

Main bistar-e-khyaal pe leta hun us ke paas,
Subah-e-azal se koi taqaza kiye baghair.. 

Us ka hai jo bhi kuchh hai mera aur main magar,
Wo mujh ko chahiye koi sauda kiye baghair..

Ye zindagi jo hai use ma'ana bhi chahiye, 
Waada humein qubool hai iifa kiye baghair..

Ai qaatilo'n ke shahar bas itni hi arz hai, 
Main hun na qatl koi tamasha kiye baghair..

Murshid ke jhooth ki to saza be-hisaab hai,
Tum chhodiyo na shahar ko sahra kiye baghair..

Un aangano'n mein kitna sukoon o suroor tha,
Aaraaish-e-nazar teri parwa kiye baghair..

Yaraa'n khusha ye roz o shab-e-dil ke ab humein,
Sab kuchh hai khush-gawaar gawara kiye baghair..

Girya-kunaa'n ki fard mein apna nahin hai naam,
Hum girya-kun azal ke hain girya kiye baghair..

Aakhir hain kaun log jo bakhshe hi jayenge,
Tareekh ke haraam se tauba kiye baghair.. 

Wo sunni bachcha kaun tha jis ki jafa ne 'Jaun',
Shia bana diya humein shia kiye baghair.. 

Ab tum kabhi na aaoge yaani kabhi kabhi,
Rukhsat karo mujhe koi waada kiye baghair.!!

"Jaun Eliya"
__________

Ambaar = heap, pile, stock,
Parda-e-hurmat = veil of honor; reverence,
Yaraa'n = friends,
Ma'ana = accept, admit, agree, mind,
iifa = fulfilment, observance,
Aaraaish-e-nazar = adornment of glance,
Khusha = how fortunate, blessed, happy,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...