Tuesday, June 12, 2018

Hum Aandhiyon Ke Ban Mein Kisi Karwaan Ke The

Hum aandhiyon ke ban mein kisi karwaan ke the,
Jaane kahaan se aae hain jaane kahaan ke the..

Ai jaan-e-dastaan tujhe aaya kabhi khyaal,
Wo log kya hue jo teri dastaan ke the..

Hum tere aastaan pe ye kahne ko aaye hain,
Wo khaak ho gaye jo tere aastaan ke the..

Mil kar tapaak se na humein kijiye udaas, 
Khaatir na kijiye kabhi hum bhi yahaan ke the..

Kya poochhte ho naam-o-nishaan-e-musafiraan,
Hindostan mein aaye hain hindostan ke the..

Ab khaak ud rahi hai yahaan intizaar ki,
Ai dil ye baam-o-dar kisi jaan-e-jahaan ke the..

Hum kis ko dein bhala dar-o-deewar ka hisaab,
Ye hum jo hain zameen ke na the aasman ke the..

Hum se chhina hai naaf-piyala tera miyaan,
Goya azal se hum saf-e-lab-tishnagaan ke the..

Hum ko haqiqaton ne kiya hai kharaab-o-khwaar,
Hum khwab-e-khwab aur gumaan-e-gumaan ke the..

Sad-yaad-e-yaad 'Jaun' wo hangaam-e-dil ke jab,
Hum ek gaam ke na the par haft-khwaan ke the..

Wo rishta-ha-e-zaat jo barbaad ho gaye,
Mere gumaan ke the ke tumhaare gumaan ke the.!!

"Jaun Eliya"
__________

Saf-e-lab-tishnagaan = line of thirsty's lips,
Sad-yaad-e-yaad = hundred memories of meory,
Hangaam-e-dil = tumult of heart,
Haft-khwaan = The seven feasts given by Rust am on seven days in which he fought his way to Mazandaran-to the rescue of Kaikaus;
Rishta-ha-e-zaat = relationships of self,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...