Tuesday, June 12, 2018

Hijr Ki Aankhon Se Aankhein To Milate Jaaiye

Hijr ki aankhon se aankhein to milate jaaiye,
Hijr mein karna hai kya ye to batate jaaiye..

Ban ke khushbu ki udaasi rahiye dil ke baagh mein,
Door hote jaaiye nazdeek aate jaaiye..

Jaate jaate aap itna kaam to kijiye mera,
Yaad ka saara sar-o-samaan jalate jaaiye.. 

Rah gayi ummid to barbaad ho jaaunga main,
Jaaiye to phir mujhe sach-much bhulate jaaiye..

Zindagi ki anjuman ka bas yahi dastoor hai,
Badh ke miliye aur mil kar door jaate jaaiye..

Aakhirash rishta to hum mein ek khushi ek ghum ka tha,
Muskuraate jaaiye aansu bahate jaaiye.. 

Wo gali hai ek sharabi chashm-e-kaafir ki gali,
Us gali mein jaaiye to ladkhadate jaaiye..

Aap ko jab mujh se shikwa hi nahin koi to phir,
Aag hi dil mein lagani hai lagate jaaiye..

Kuch hai khwabo'n se tabeero'n ki samto'n mein to phir,
Jaaiye par dam-ba-dam barbaad jaate jaaiye..

Aap ka mehmaan hun main aap mere mezbaan,
So mujhe zahr-e-murawwat to pilate jaaiye..

Hai sar-e-shab aur mere ghar mein nahin koi charaagh,
Aag to is ghar mein jaanana lagate jaaiye.!!

"Jaun Eliya"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...