Tuesday, June 12, 2018

Har Dhadkan Haijaani Thi Har Khamoshi Tufaani Thi

Har dhadkan haijaani thi har khamoshi tufaani thi,
Phir bhi mohabbat sirf musalsal milne ki aasani thi..

Jis din us se baat hui thi us din bhi be-kaif tha main,
Jis din us ka khat aaya hai us din bhi veeraani thi..

Jab us ne mujh se ye kaha tha ishq rafaaqat hi to nahin..
Tab main ne har shakhs ki surat mushkil se pahchani thi..

Jis din wo milne aai hai us din ki rudaad ye hai,
Us ka blouse naranji tha us ki saarhi dhaani thi..

Uljhan si hone lagti thi mujh ko aksar aur wo yoon,
Mera mizaaj-e-ishq tha shahri us ki wafa dahqaani thi..

Ab to us ke baare mein tum jo chaaho wo kah daalo,
Wo angdaai mere kamre tak to badi roohaani thi..

Naam pe hum qurbaan the us ke lekin phir ye taur hua,
Us ko dekh ke ruk jaana bhi sab se badi qurbaani thi..

Mujh se bichhad kar bhi wo ladki kitni khush khush rahti hai,
Us ladki ne mujh se bichhad kar mar jaane ki thhaani thi..

Ishq ki haalat kuchh bhi nahin thi baat badhane ka fan tha,
Lamhe la-faani thehre the qatro'n ki tughyaani thi..

Jis ko khud main ne bhi apni rooh ka irfaa'n samjha tha,
Wo to shayad mere pyaase honthon ki shaitaani thi..

Tha darbaar-e-kalaa'n bhi us ka naubat-khaana us ka tha,
Thi mere dil ki jo raani amrohe ki raani thi.!!

"Jaun Eliya"
__________

Haijaani = silence, taciturnity,
Be-kaif = Joyless, Languid,
Rafaaqat = company, friendships, companionships,
Naranji = Of orange; orange-coloured,
Dahqaani = related to farmer,
La-faani = immortal,
Tughyaani = over-flowing, deluge, inundation, flood,
Darbaar-e-kalaa'n = big court,
Naubat-khaana = guard house, place from where drums are beaten to anounce time,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...