Har gaam par the shams-o-qamar us dayaar mein,
Kitne haseen the shaam-o-sahar us dayaar mein..
Wo baagh wo bahaar wo dariya wo sabza-zaar,
Nashsho'n se khelti thi nazar us dayaar mein..
Aasaan tha safar ke har ek rahguzar par,
Milte the saaya-daar shajar us dayaar mein..
Har-chand thi wahaan bhi khizaa'n ki udaas dhoop,
Dil par nahin tha ghum ka asar us dayaar mein..
Mahsoos ho raha tha sitare hain gard-e-raah,
Hum the hazaar khaak-basar us dayaar mein..
'Jalib' yahaan to baat garebaan tak aa gayi,
Rakhte the sirf chaak-jigar us dayaar mein.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment