Gulshan ki faza dhuan dhuan hai,
Kahte hain bahaar ka samaa'n hai..
Bikhri hui pattiyan hain gul ki,
Tooti hui shaakh-e-aashiyaan hai..
Jis dil se ubhar rahe the naghme,
Pahlu mein wo aaj nauha-khwaa'n hai..
Hum hi nahin payemaal tanha,
Ai dost tabah ek jahaan hai..
'Jalib' wo kahaan hai ishq tera,
Pyare wo ghazal teri kahaan hai.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment