Humare zakhm-e-tamanna purane ho gaye hain,
Ke us gali mein gaye ab zamane ho gaye hain..
Tum apne chaahne waalon ki baat mat suniyo,
Tumhaare chaahne waale deewane ho gaye hain..
Wo zulf dhoop mein furqat ki aai hai jab yaad,
To baadal aaye hain aur shamiyane ho gaye hain..
Jo apne taur se hum ne kabhi guzaare the,
Wo subah o shaam to jaise fasane ho gaye hain..
Ajab mahak thi mere gul tere shabistaan ki,
So bulbulo'n ke wahaan aashiyane ho gaye hain..
Humare baad jo aayen unhein mubarak ho,
Jahaan the kunj wahaan kaar-khaane ho gaye hain.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment