Wednesday, June 6, 2018

Hai Azal Ki Is Ghalat Bakhshi Pe Hairaani Mujhe

Hai azal ki is ghalat bakhshi pe hairaani mujhe,
Ishq la-faani mila hai zindagi faani mujhe..

Main wo basti hun ke yaad-e-raftagaa'n ke bhes mein,
Dekhne aati hai ab meri hi veerani mujhe.. 

Thi yahi tamheed mere matami anjaam ki,
Phool hanste hain to hoti hai pashemaani mujhe..

Husn be-parda hua jaata hai ya rab kya karun,
Ab to karni hi padi dil ki nigahbaani mujhe..

Baandh kar roz-e-azal shiraaza-e-marg-o-hayat,
Saunp di goya do aalam ki pareshaani mujhe..

Poochhta phirta tha daanaon se ulfat ke rumooz,
Yaad ab rah rah ke aati hai wo nadaani mujhe.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Tamheed = preamble, preface, introduction,
Shiraaza-e-marg-o-hayat = binding of death and life,
Rumooz = secrets,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...