Wednesday, June 6, 2018

Ek Baar Phir Watan Mein Gaya Ja Ke Aa Gaya

Interesting Fact,

Dedicated to his 10-year-old daughter Hafeez Irshad Batool who died on 22 Oct 1929 after falling into a well. On 15th Aug 1938 her grave in Jalandhar was vandalised by the miscreants where she was buried.

__________

Ek baar phir watan mein gaya ja ke aa gaya,
Lakht-e-jigar ko khaak mein dafna ke aa gaya..

Har hum-safar pe khizr ka dhokha hua mujhe,
Aab-e-baqa ki rah se katra ke aa gaya..

Hoor-e-lahad ne chheen liya tujh ko aur main,
Apna sa munh liye hue sharma ke aa gaya..

Dil le gaya mujhe teri turbat pe baar baar,
Aawaaz de ke baith ke ukta ke aa gaya..

Roya ke tha jahez tera waajib-ul-ada,
Meinh motiyon ka qabr pe barsa ke aa gaya..

Meri bisaat kya thi huzoor-e-raza-e-dost,
Tinka sa ek saamne dariya ke aa gaya..

Ab ke bhi raas aai na hubb-e-watan 'Hafeez',
Ab ke bhi ek teer-e-qaza kha ke aa gaya.!!

"Hafeez Jalandhari"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...