Monday, June 11, 2018

Haalat-e-haal Ke Sabab Haalat-e-haal Hi Gayi

Haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gayi,
Shauq mein kuchh nahin gaya shauq ki zindagi gayi..

Tera firaaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye,
Yaani tere firaaq mein khoib sharaab pi gayi..

Tere wisaal ke liye apne kamaal ke liye, 
Haalat-e-dil ke thi kharaab aur kharaab ki gayi..

Us ki ummid-e-naaz ka hum se ye maan tha ke aap,
Umr guzaar dijiye umr guzaar di gayi..

Ek hi haadsa to hai aur wo ye ke aaj tak,
Baat nahin kahi gayi baat nahin suni gayi..

Baad bhi tere jaan-e-jaan dil mein raha ajab samaa'n,
Yaad rahi teri yahaan phir teri yaad bhi gayi..

Us ke badan ko di numud hum ne sukhan mein aur phir,
Us ke badan ke waaste ek qaba bhi si gayi,

Meena-ba-meena may-ba-may jaam-ba-jaam jam-ba-jam,
Naaf-pyale ki tere yaad ajab sahi gayi..

Kahni hai mujh ko ek baat aap se yaani aap se,
Aap ke shahr-e-wasl mein lazzat-e-hijr bhi gayi..

Sehn-e-khyaal-e-yaar mein ki na basar shab-e-firaaq,
Jab se wo chandna gaya jab se wo chandni gayi.!!

"Jaun Eliya"
__________

Haalat-e-haal = present condition,
Numood = show, display, appearance, sight,
Qaba = apparel, garment,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...