Monday, June 11, 2018

Guzaara'n Hain Guzarte Rahte Hain

Guzaara'n hain guzarte rahte hain,
Hum miyaan jaan marte rahte hain..

Haye jaanaa wo naaf-pyala tera,
Dil mein bas ghoont utarte rahte hain..

Dil ka jalsa bikhar gaya to kya,
Saare jalse bikharte rahte hain..

Yaani kya kuchh bhula diya hum ne,
Ab to hum khud se darte rahte hain..

Hum se kya kya khuda mukarta hai,
Hum khuda se mukarte rahte hain..

Hai ajab us ka haal-e-hijr ke hum,
Gaahe gaahe sanwarte rahte hain..

Dil ke sab zakhm pesha-war hain miyaan,
Aan ha aan bharte rahte hain.!

"Jaun Eliya"
__________

Guzaara'n = passages,
Naaf-pyala = middle of cup,
Pesha-war = professional,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...