Hai ajab haal ye zamane ka,
Yaad bhi taur hai bhulane ka..
Pasand aaya bahut humein pesha,
Khud hi apne gharo'n ko dhhaane ka..
Kaash hum ko bhi ho naseeb kabhi,
Aish-e-daftar mein gungunane ka..
Aasman hai khamoshi-e-jaawed,
Main bhi ab lab nahin hilane ka..
Jaan kya ab tera pyala-e-naaf,
Nashsha mujh ko nahin pilane ka..
Shauq hai is dil-e-darinda ko,
Aap ke honth kaat khaane ka.. Waaiz
Itna naadim hua hun khud se ke main,
Ab nahin khud ko aazmaane ka..
Kya kahun jaan ko bachane main,
'Jaun' khatra hai jaan jaane ka..
Ye jahaan 'Jaun' ek jahannum hai,
Yaan khuda bhi nahin hai aane ka..
Zindagi ek fan hai lamho'n ko,
Apne andaaz se ganwaane ka.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment