Monday, June 11, 2018

Guftugu Jab Muhaal Ki Hogi

Guftugu jab muhaal ki hogi,
Baat us ki misaal ki hogi..

Zindagi hai khyaal ki ek baat,
Jo kisi be-khyaal ki hogi..

Thi jo khushbu saba ki chaadar mein,
Wo tumhaari hi shaal ki hogi..

Na samajh payenge wo ahl-e-firaaq,
Jo aziyat wisaal ki hogi..

Dil pe tarai hai ek kamaal-e-khushi,
Shayad apne zawaal ki hogi..

Jo ata ho wisaal-e-jaanaa ki,
Wo udaasi kamaal ki hogi..

Aaj kahna hai dil ko haal apna,
Aaj to sab ke haal ki hogi..

Ho chuka main so fikr yaaron ko,
Ab meri dekh-bhaal ki hogi..

Ab khalish kya firaaq ki us ke,
Ek khalish maah-o-saal ki hogi..

Kufr-o-imaan kaha gaya jis ko,
Baat wo kgadd-o-khaal ki hogi..

'Jaun' dil ke khutan mein aaya hai,
Har ghazal ek ghazaal ki hogi..

Jab bhala aayegi jawaab ko raas,
Jo bhi haalat sawaal ki hogi.!!

"Jaun Eliya"
__________

Kgadd-o-khaal = features, shape, physique,
Khutan = a district of Tartary (famous for musk),
Ghazaal = a young deer, a fawn, a young delicate person,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...