Ghazlein to kahi hain kuchh hum ne un se na kaha ahwaal to kya,
Kal misl-e-sitara ubhrenge hain aaj agar paamaal to kya..
Jeene ki dua dene waale ye raaz tujhe maloom nahin,
Takhleeq ka ek lamha hai bahut be-kaar jiye sau saal to kya..
Sikkon ke ewaz jo bik jaaye wo meri nazar mein husn nahin,
Ai shaam-e-shabistan-e-daulat tu hai jo pari-timsaal to kya..
Har phool ke lab par naam mera charcha hai chaman mein aam mera,
Shohrat ki ye daulat kya kam hai gar paas nahin hai maal to kya..
Hum ne jo kiya mahsoos kaha jo dard mila hans hans ke saha,
Bhoolega na mustaqbil hum ko naalaa'n hai jo hum se haal to kya..
Hum ahl-e-mohabbat pa lenge apne hi sahaare manzil ko,
Yaaraan-e-siyasat ne har-su phailaye hain rangeen jaal to kya..
Duniya-e-adab mein ai 'Jalib' apni bhi koi pahchaan to ho,
'Iqbaal' ka rang udaane se tu ban bhi gaya 'Iqbaal' to kya.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment