Monday, June 11, 2018

Ghar Se Hum Ghar Talak Gaye Honge

Ghar se hum ghar talak gaye honge,
Apne hi aap tak gaye honge..

Hum jo ab aadmi hain pahle kabhi,
Jaam honge chhalak gaye honge..

Wo bhi ab hum se thak gaya hoga,
Hum bhi ab us se thak gaye honge..

Shab jo hum se hua muaaf karo,
Nahin pi thi bahak gaye honge..

Kitne hi log hirs-e-shohrat mein,
Daar par khud latak gaye honge..

Shukr hai is nigah-e-kam ka miyaan,
Pahle hi hum khatak gaye honge..

Hum to apni talaash mein aksar,
Az sama-ta-samak gaye honge..

Us ka lashkar jahaan-tahaan yaani,
Hum bhi bas be-kumak gaye honge..

'Jaun' Allah aur ye aalam,
Beech mein hum atak gaye honge.!!

"Jaun Eliya"
__________

Hirs-e-shohrat = Greed for fame,
Az = From, Then, By,
Sama-ta-samak = from awning or canopy to the two stars in sky,
Be-kumak = without supply,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...