'Ghaalib'-o-'Yagana' se log bhi the jab tanha,
Hum se tay na hogi kya manzil-e-adab tanha..
Fikr-e-anjuman kis ko kaisi anjuman pyare,
Apna apna ghum sab ka sochiye to sab tanha..
Sun rakho zamane ki kal zabaan par hogi,
Hum jo baat karte hain aaj zer-e-lab tanha..
Apni rahnumaai mein ki hai zindagi hum ne,
Saath kaun tha pahle ho gaye jo ab tanha..
Mahr-o-maah ki surat muskura ke guzre hain,
Khaak-daan-e-teera se hum bhi roz-o-shab tanha..
Kitne log aa baithe paas mehrbaan ho kar,
Hum ne khud ko paaya hai thodi der jab tanha..
Yaad bhi hai saath un ki aur ghum-e-zamana bhi,
Zindagi mein ai 'Jalib' hum hue hain kab tanha.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment